Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!
Sangarsh se hat kar jiye to kya jiye ki hum ya tum,
Jo nat hua wo mrit hua jyon vrind se jarhkar kusum,
Jo laksya bhool ruka nahin,
Jo haar dekh jhukha nahin,
Jisne pranay path maana hai jeet usi ki hui,
Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!
Aisa karon jisse na praanon me kahin jadta rahen,
Jo hai jaha chupchaap apne aap se ladta rahen,
Jo bhi preesthethiya mile,
kaante chube kaliya khile
Haaren na insaan kabhi, hai sandesh jeevan ka yahin,
Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!
Humne racha aaon humhi abb tod se iss pyaar ko,
Ye milan bhi kya milan, jo mod de majhdaar ko,
Jo saath phoolon ke chalen,
Jo daal paate hi dale,
Wo jindgi bhi kya jindgi, jo sirf paani si bahin,
Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!
Sansaar saara aadmi ki chaal dekh hua chakit,
Par jaakhkar dekhon drigon me sabhi hai pyaase thakit,
Jab tak bandhi hai chetna,
Jab tak hridya dukh se ghana,
Tab tak na maanoonga kabhi iss raah ko mai sahin,
Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!
Apne hridya ka satya apne aap humkon khojna,
Apne nayan ka neer apne aap humkon poochhna,
Aakaash sukh denga nahin,
Dharti paseeji hai kahin,
Jisse hridya ko bal milen,
Hai dhyay apna to wohin,
Sach hum nahin, sach tum nahin,
Sach hai mahaj sangarsh hi!!