Saturday, August 8, 2009

Ramdhari Singh Dinkar`s Rashmirathi

varsho tak van me ghom ghoom
badha vighno ko chum chum
sah dhoop gham pani patthar
pandav aaye kuchh or nikhar

soubhagya na sab din hota he
dekhe aage kya hota he

maitri ki raah dikhane ko
sab ko sumarg pe laane ko
duryodhan ko samjhane ko
bheeshan vidhwans bachane ko

bhagwan hastinapur aaye
panddav ka sandesha laaye

do nyay agar to adha do
par isme bhi yadi badha ho
to dedo kewal paach gram
rakho apni dharti tamam

hum vahi khushi se khayenge
parijan pe asi na uthayenge (asi = hathiyaar)

duryodhan woh bhi de na saka
ashish samaj ki le na saka
ulte hari ko bandhne chala
jo tha asadhya sadhne chala

jab naash manuj par chhata he
pehle vivek mar jata he

hari ne bheeshan hunkar kiya
apna swaroop vistar kiya
dagmag dagmag diggaj dole
bhagwan kupit hokar bole

janjeer badha ab saadh mujhe
haa haa duryodhan baandh mujhe

yeh dekh gagan mujhme lay hai
yeh dekh pawan mujhme lay hai
mujhme wilin jhankaar sakal
mujhme lay hai sansaar sakal

amaratva phhoolta hai muhme
sanhaar jhoolta hai mujhme

udayachal mere dipt bhaal
bhu-mandal vaksh-sthal vishaal
bhuj paridhi bandh ko ghere hain
mainaak meru pag mere hain

dipte jo grah nakshatra nikar
sab hain mere mukh ke andar

drig ho to drishya akaand dekh
mujhme saara brahmaand dekh
char-achar jeev, jag kshar akshar
nashwar manushya, surjati amar

sat koti surya, sat koti chandra
sat koti sarit sar sindhu mandra

sat koti brahma vishnu mahesh
sat koti jalpati jishnu dhanesh
sat koti rudra, sat koti kaal
sat koti dand dhar lokpaal

janjeer badha kar saadh inhe
haan haan duryodhan baandh inhe

bhutal atal paatal dekh
gat aur anagat kaal dekh
yeh dekh jagat ka aadi srijan
yeh dekh mahabhaarat ka run

mritako se pati hui bhu hai
pahchaan kahan isme tu hai?

ambar ka kuntal jaal dekh
pad ke niche paatal dekh
mutthi mein tino kaal dekh
mera swaroop vikraal dekh

sab janm mujhi se paate hain
phir laut mujhi mein aate hain

jihwa se kadhti jwaal saghan
saanso se paata janm pawan
par jati meri drishti jidhar
hansne lagti hai srishti udhar

main jabhi moondta hoon lochan
chha jata charo aur maran

baandhne mujhe to aaya hai
janjeer badi kya laaya hai?
yadi mujhe baandhna chahe mann
pahle tu baandh anant gagan

sune ko saadh na sakta hai
wo mujhe baandh kab sakta hai?

hit wachan nahi tune maana
maitri ka moolya na pahchana
to le ab main bhi jata hoon
antim sankalp sunaata hoon

yaachna nahi ab rann hoga
jivan jai ya ki maran hoga

takrayenge nakshatra nikar
barsegi bhoo par wahni prakhar
phan sheshnaag ka dolega
wikraal kaal munh kholega

duryodhan rann aisa hoga
phir kabhi nahi jaisa hoga

bhai par bhai tootenge
vish-baan boond-se chutenge
saubhagya manuj ke phootenge
vaayas shrigaal sukh lootenge

aakhir tu bhushayi hoga
himsa ka pardayi hoga

thi sabha sann, sab log dare
chup the ya the behosh pade
kewal do nar na aghate the
dhrishtrashtra-vidur sukh paate the

kar jod khare pramudit nirbhay
dono pukaarte the jai-jai..



For more shayaris and classics visit http://techie.hpage.com/

------------------------------------------------------------------------------------------
Affordable Web Hosting

1 comment:

  1. Please post the remaining chapters too....

    ReplyDelete