Thursday, August 26, 2010

Paon se lahoo ko dho daalo

Faiz Ahmed Faiz


Hum kya karte kis reh chalte
Har raah mein kaante bikhre the
Un rishton ke jo chhoot gaye
Un sadiyon ke yaranon key
Jo ik-ik karke toot gaye.

Jis raah chale jist simt gaye
Yun paon lahoo-luhan hue
Sab dekhne vaale kahte the
Ye kaisi reet rachai hai
Ye mehndi kyon lagvai hai
Vo kehte the, kyon kahat-e-vapha
Ka nahak charcha karte ho
Paon se lahoo ko dho dalo

Ye raatein jab kat jayengi
Sau raste in se phootenge
Tum dil ko sambholo jismein abhi
Sau tarah ke nashtar tootenge.

No comments:

Post a Comment