Showing posts with label Galibs Shayari. Show all posts
Showing posts with label Galibs Shayari. Show all posts

Friday, September 25, 2009

Sahirs kabhi kabhi

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Ki jaise tujhko banaya gaya hai mere liye
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tu abse pehle sitaaron mein bas rahi thi kahin
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye
Tujhe zameen pe bulaya gaya hai mere liye

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ki ye badan ye nigaahein meri amaanat hain
Ye gesuon ki ghani chhaon hain meri khatir
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain
Ye honth aur ye baahein meri amaanat hain

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Ki jaise bajti hain shehnaaiyaan si raahon mein
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Suhaag raat hain ghoonghat utha raha hoon main
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein
Simat rahi hai tu sharma ke apni baahon mein

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Ki jaise tu mujhe chaahegi umr bhar yoohin
Uthegi meri taraf pyaar ki nazar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin
Main jaanta hoon ki tu geir hai magar yoohin

Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai
Kabhi kabhi mere dil mein khayaal aata hai

Thursday, August 13, 2009

Galibs Shayari

Nasha Shaadab E Rang

Roman Script-

nashshah'hā shādāb-e rang-o-sāz'hā mast-e t̤arab
shīshah-e mai sarv-e sabz-e jūʾibār-e naġhmah hai

ham-nishīñ mat kah kih barham kar nah bazm-e ʿaish-e dost
vāñ to mere nāle ko bhī iʿtibār-e naġhmah hai

Devanagri Script-

नश्‌शहहा शादाब-ए रन्‌ग-ओ-साज़हा मस्‌त-ए तरब
शीशह-ए मै सर्‌व-ए सब्‌ज़-ए जूइबार-ए नग़्‌मह है

हम-निशीं मत कह कि बर्‌हम कर न बज़्‌म-ए `ऐश-ए दोस्‌त
वां तो मेरे नाले को भी इ`तिबार-ए नग़्‌मह है

Urdu Script-

نشّہ‌ہا شادابِ رنگ و ساز‌ہا مستِ طرب
شیشۂ مے سروِ سبزِ جوئبارِ نغمہ ہے


ہم نشیں مت کہ کہ برہم کر نہ بزمِ عیشِ دوست
واں تو میرے نالے کو بھی اعتبارِ نغمہ ہے

Rahm Kar Zaalim

Roman Script-

raḥm kar zaalim kih kyā būd-e chirāġh-e kushtah hai
nabẓ-e bīmār-e vafā dūd-e chirāġh-e kushtah hai

dil-lagī kī ārzū be-chain rakhtī hai hameñ
varnah yāñ be-raunaqī sūd-e chirāġh-e kushtah hai

Devanagari Script-

रह्‌म कर ज़ालिम कि क्‌या बूद-ए चिराग़-ए कुश्‌तह है
नब्‌ज़-ए बीमार-ए वफ़ा दूद-ए चिराग़-ए कुश्‌तह है

दिल-लगी की आर्‌ज़ू बे-चैन रख्‌ती है हमें
वर्‌नह यां बे-रौनक़ी सूद-ए चिराग़-ए कुश्‌तह है

Urdu Script-

رحم کر ظالم کہ کیا بودِ چراغِ کشتہ ہے
نبضِ بیمارِ وفا دودِ چراغِ کشتہ ہے

دل لگی کی آرزو بے چین رکھتی ہے ہمیں
ورنہ یاں بے رونقی سودِ چراغِ کشتہ ہے



Tum Apne Shikve Ki Baatein

Roman Script-

tum apne shikve kī bāteñ nah khod khod ke pūchho
ḥażar karo mire dil se kih us meñ āg dabī hai

dilā yih dard-o-alam bhī to muġhtanim hai kih āḳhir
nah giryah-e saḥarī hai nah āh-e nīm-shabī hai

Devanagari Script-

तुम अप्‌ने शिक्‌वे की बातें न खोद खोद के पूछो
हज़र करो मिरे दिल से कि उस में आग दबी है

दिला यह दर्‌द-ओ-अलम भी तो मुग़्‌तनिम है कि आख़िर
न गिर्‌यह-ए सहरी है न आह-ए नीम-शबी है

Urdu Script-

تم اپنے شکوے کی باتیں نہ کھود کھود کے پوچھو
حذر کرو مرے دل سے کہ اس میں آگ دبی ہے

دلا یہ درد و الم بھی تو مغتنم ہے کہ آخر
نہ گریۂ سحری ہے نہ آۂ نیم شبی ہے