Showing posts with label jagjit singh. Show all posts
Showing posts with label jagjit singh. Show all posts

Monday, September 28, 2009

Benaam sa yeh dard



(Benaam sa yeh dard
thahar kyon nahi jaata) -2
jo beet gaya hai vo
guzar kyon nahi jaata
benaam sa yeh ...

Sab kuch to hai kya dhoondti
rahti hain nigaahein
Kya baat hai main
waqt pe ghar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai vo 
guzar kyoon nahi jaata

(Vo ek hi chahra to
nahi saare jahan main) -2
(Jo door hai vo dil se
utar kyon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....

(Main apni hi uljhi hui
raahon ka tamasha) -2
(Jaate hai jidhar sab
main udhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata

(Vo naam jo barson se
na chehra hai na badan hai) -2
(vo khwab agar hai to
bikhar kyoon nahi jata) -2
Jo beet gaya hai vo
guzar kyoon nahi jata

Listen to this song here 

Tere Khushbu Mein Basey Khat

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey,
Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chupaaye Rakhaa,
Jinko Ik Umr Kalejey Se Lagaaye Rakhaa,

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Tha Pani Ki Tarah,
Yaad They Mujhko Jo Paigaam-e-zubaani Ki Tarah,
Mujh Ko Pyarey They Jo Anmol Nishaani Ki Tarah.

Tuune Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachakar Likhey,
Saalahaa-saal Mere Naam Baraabar Likhey.
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Mein Uthkar Likhey

Tere Khushbu Mein Basey Khat Main Jalaata Kaisey?
Pyar Mein Duubey Huye Khat Main Jalaata Kaisey?
Tere Haathon Ke Likhey Khat Main Jalaata Kaisey?

Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Bahaa Aayaa Hoon,
Aag Behetey Hue Paani Mein Lagaa Aayaa Hoon.

Album : Live With Jagjit Singh
Video : Revival Jagjit Singh
Year : 1993

for More classics visit and bookmark

Sunday, August 9, 2009

huzoor aapka bhi

Artist: Jagjit Singh
Album: Live With Jagjit Singh

huzuur aap kaa bhii ehataraam karataa chaluuN
idhar se guzaraa thaa sochaa salaam karataa chaluuN

nigaahedil kii aaKhirii yahii tamannaa hai
tumhaarii zulfon ke saaye men shaam karataa chaluuN

unhen ye zid ki mujhe dekh kar kisii ko na dekh
meraa ye shauq ki sab se salaam karataa chaluuN

ye mere Khvaabon kii duniyaa nahiin, sahii lekin
ab aa gayaa huuN to do din kayaam karataa chaluuN



For Shayari and fun stuff visit http://www.techie.hpage.com/